Popular Posts

Latest Posts

Wednesday, 10 June 2015

Islam Main "BETI" Ki Ahmiyat..

1 comment:
ISLAM MAIN  "BETI" KI AHMIYAT....
HAZRAT MOHAMMED  (SALALLAHU ALAHI WASALLAM)

FARMATE HAIN :-
1>    AURAT KE LIYA BAHUTH HI MUBARAK HAIN KE USKI PEHLI AULAT LADKI HO,

2>    JIS SHAKS KO BETIYAN HO AUR WOH UNKE SATH NEK SALUK KARE  YAHA KE UNKI SHAADI NEK RISTEDARO SE  KAR DE TO WO BETIYAN JHANAM SE AAD BAN JAYENGI.

3>   JAB KIO LADKI PAIDA HOTI HAI TO ALLAH TALA FARMATA HAI KE AA LADKI ! TU ZAMEEN PE UTAR MAI TERE BAAP KI  MADAD KARUNGA.

(KANZ AL-UMMAL)


SUBHAN'ALLAH.... 
Continue Reading...

Tuesday, 9 June 2015

AURAT KYA HAIN

No comments:


AURAT KYA HAI...
AURAT KHUDA KI BADI BADI NEMOTE ME SE EK NEMAT HAI...

Aurat-duniya ki Aabadkari aur dindari me Mardo Ke Sath Takriban Barabar Ki Sharik He. 
Aurat-mard Ke Dil Ka Sukoon,Rooh Ki Rahat,Zehan Ka Itminan,Badan Ka Chain He. 
Aurat-Duniya Ke Khub Surat Chere Ki Ek Ankh He.Agar Aurat Na Hoti To Duniya Ki Surat Kani Hoti. 
Aurat-Hazrat Aadam Alahis salam Wa Hazrate Hawwa Radi Allahu Taala Anha ke Siwa Tamam Insano Ki “Maa” Is Liye Woh Sab Ke Liye Kabile Ahteram He. 
Aurat-ka Wajood Insani Tammdun Ke liye Behad Jaruri He Agar Aurat na Hoti To Mardo Ki Zindagi Jangli Janwaro Se Badtar Hoti. 
Aurat-Bachpan Me Bhai Behno Se Muhabbat Karti He.Shadi Ke Baad Sohar Se Muhabbat Karti He. Maa ban ker apni awlad se muhabbat karti hai is liya Aurat duniya mai pyaar woh muhabbat ka ek 'taj mahal' hai..
Continue Reading...

Saturday, 6 June 2015

QABAR KI PUKAR

No comments:

QABAR KI PUKAR :-

Hum apne haatho se murdo ko qabar mai utaarte hai lekin hame is baat ka ehsaas nahi hota ki ek din hame bhi andheri Qaber me utarna aur apni karani ka fal bhugtna padega. 
                                                                                                           

Hum Qabar Ko Bhule Chahe Yaad Rakhe Qabar Hame Nahi Bhulti Chunanche,
Hazrate Sayyiduna Faqih Abullais Samarqandi (Rahmatullah Alayh) Naqal Frmate Hai Ki Qabar Rozana 5 Martba Yeh Nida Krti Hai
>>>Ay Aadmi! Tu Meri Pith Par Chalta Hai Haalaaki Mera Pet Tera Thikana Hai
>>>Ay Aadmi! Tu Mujh Par Umda Umda Khane Khata Hai Anqarib Mere Pet Me Tujhe Kide Khaaenge
>>>Ay Aadmi! Tu Meri Pith Par Hasta Hai Jald Hi Mere Andar Aakr Roega
>>>Ay Aadmi! Tu Meri Pith Par Khushiya Mnata Hai Anqarib Mujh Me Gamgin Hoga
>>>Ay Aadmi! Tu Meri Pith Par Gunah Krta Hai Anqarib Mere Pet Me Mubtlaae Azaab Hoga
(TAMBIHUL GAAFILIN Page No 32)
“Qabar Rozana Yeh Karti Hai Pukar Mujh Me Hai Kide Makode Be Shumar Yaad Rakh! Mai Hu Andheri Kothdi Tujh Ko Hogi Mujh Me Sun Vahshat Badi
Mere Andar Tu Akela Aaega Haa Magar Aa’maal Leta Aaega”

    ★ ALLAH HAME QABER KE AZAAB SE BACHNE KI TOUFIK AATA FARMAYE                  

Continue Reading...

MOBILE AUR NAMAZ

No comments:
MOBILE AUR NAMAZ 


( PAARA  13 RUKU 17 TARJUMA AUR TAFSEER )

aye mahboob aap farmaiye mere un bando se  wo jo imaan laaye. un imaan walo se farma dijiye wo namaz qayam rakhe


Quran e mazeed me Allah ta’ala ne apne mahboob ki Zubani kahelwaya .Ki Aye mahboob Aap momino se kahde ke wo namaz Qayam rakhe namaz ki  pabandi kre.
Kis Qadar namaz ki ahmiyat hai  to poore Quran paak me imaan ke bad sabse jyada namaz ka zikar kiya gaya .
Aur fir afsos ka makaam ye hai  ke sabse jyada gaflat aaj kal namaz hi ke mamle me paayi jaati hai .
Awwal to hum namaz ke paband nahi jab mood hota hai jab waqt hota hai jab farig hote hai to namaz padh lete hai.Fazar kazaa Ho jaati hai .Kabhi masufiyat ki wajah se asar nikal jaati hai .Kabhi safar me hote hai to magrib ko hum chhod dete hai .Kabhi office se aa rahe hote hai to magrib nikal jaati hai .Kabhi thake huye hote hai to ishaa ko hum chhod dete hai.
Eik to namaz hum chhodte hai kazaa karte hai Dusri nahusat ye hai ki hum namaz padhte hai to namaz ko ahmiyat nahi dete hai.
 Har cheez ko ahmiyat dene ki jarurat hai .To namaz ko hum ahmiyat nhi dete.Namaz ke liye hum saaf suthre kapde pahne.Achi tarah wudu kare .Aur bade ahtimaam ke sath tawajjoh ke sath itminaan se sukun se namaz adaa kare.Hamare jeb me mobile Hota hai to  mobile ko band karna bhool jate hai fir bajna shuru hota hai hame bhi tang karta hai dusro ko bhi tang karta hai lekin Namaz padhne wala namazi sakhs kya mobile ke andar musical tons rakh sakta hai  jab ki musical tons mobile me rakhna haraam hai.
Agar iske bad bhi ehsaas nahi to musical tuns moushiqui wali tiuns agar masjid ke bahar baje to bhi haraam hai.Masjid me baj rahi hai touba .Ab to naoozubillah kuchh logo ne musical tuns ki jagah ba’kayda gaane rakh diye hai .Aur kabhi kabhi itna afsos hota hai ki masjid me jab unka mobile bajta hai to filmi gaane bajne suru Ho Jate hai .
Filmi gaane se muraad jaise .Baaj nek  logo ne apne mobile ke andar azaan fit ki hui hai to jab unki call aati hai to azaan ki awaaz aati hai naat ki awaaz aati hai .Quran ki tilawat ki awaaz aati hai To aise baaz naadaan bhi log hai to naoozubillah gaano ki awaaz aati hai .
Masjid me baj raha masjid Ho ya gairo masjid Ho musical tuns rakhna ya gaane rakhna ye haraam magar masjid me Eik Aur bhi bada gunah hai .
Lekin mai Eik Dusri bat karne laga Hu wo bat ye hai ki musical tune bhi agar koi na rakkhe wo gaane bhi na rakkhe Aur wo Eik saada Eik aisi ghanti rakkhe jo use bta sake ke phone aa rha hai aisi bell jiske andar music tuns na Ho to ye jayez to hai lekin namaz padhte waqt itna hosh bhi nhi hota ki use band kar Le .
Acha baaz log kya karte hai use band to karte hai mobile ko Vibration me rakh dete hai  namaz ke dauraan  ye bhi durust nahi hai balki poora off kare Allah ke darbar me khade hai ab jeb ke andar silent me Vibratoin par hai Aur wo mobile jhoom raha hota hai saari tawajjoh is par hoti hai na jaane kiska phone aa raha hoga na Jane kaun jaruri aadmi hoga Jaldi Jaldi namaz khatam karte hai Aur fir aksar aapne dekha hoga ki agar phone ataind karne ke liye Jaldi Jaldi namaz khatam kare to Salam ferte hi wo tune band Ho jaati hai .
Jis duniya ke liye namaz doori akhtiyar ki wo duniya hath me nahi aati to hum namaz padhne ke liye khade Ho mobile band kar De off kar De .bilkul duniya ke khyalaat se Aur karobaar se apni tawajjo hata De Aur kahe hum allah ke darbaar me hazir Ho raha Hu ..Namaz kayam rakkhe .
Namaz pabandi se bhi padhe Aur namaz ko aham samjhe uske liye waqt nikaale .Uske liye tawajjoh paida kare . Ye nahi ke Jaldi Jaldi namaz padhke hum samjhe Eik bojh hai Aur taal diye .
Are ye namaz to wo hai jiski barkat se duniya me bhi insha Allah kamyaabi milegi Aur aakhirat me bhi kamyaabi hogi
Allah Ta’ala hamen islami Masail ko sikhne aur samajhne Ki toufiq ataa farmaye *Aameen*
baraye karam se ais paigham ko dusro ko share kijiye
ALLAH APKO ISKA AJER-E-AZEEM ZARUR DEGA 
AAMEEN
Continue Reading...

I LOVE YOU MOM.

No comments:

Continue Reading...

Dua-e-Ism-e-Azam Shareef

No comments:
DUA-E-ISM-E-AZAM SHAREEF
(english /Roman urdu)


ENGLISH:-
this is very famous dua and it has a lot of a benefit. He or she is very lucky if she or he recite it daily  and includes this in her routine wazaif, any kind of lawful need and any toughest problem can solve with this dua and why not ism-e-azam is hidden in it.
Reciting of this dua three times after each prayer is enough for all lawful needs.

Roman urdu:-Ye mashoor o ma’roof dua hai jis ke beshumar fawaid hain wo shaks bara hi khush naseeb hoga jo rozana isko apne wird main rakhega koi bhi jaiz hajat aur kaisi hi sakht pareshani kyon na ho is kay parhne walay ka daman gohar e murad say bhara jata hai aur kyon na ho ke is dua main ism-e-azam posheda hai.
HAE NAMAZ KE BAD 3 DAFA PARHNA JAHAT RAWAI KE LIYA KAFI HOTA HAI.

Continue Reading...

Friday, 5 June 2015

RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM NE FARMAYA

No comments:
RASOOL SALLALAHU ALAIHI WASALLAM NE FARMAYA:-

JAB KABHI KISSE INSAN KA BACHCHA MARR JAYE TOH ALLAH  TAA'LA  APNE FARISHTO'N SE KATHE HAIN.

Tum Ne Mere Bande Ke Bachche Ki Rooh Qabz Kar Lee ??
wah Kehte Hain :Jee Haa !!!
ALLAH TA'ALA Kehta Hain Tum Ne Uske Jigar ke Tukre Ko Le Liya Hain ??
wah Kehte Hain :Haa Baari Ta'ala !!!
ALLAH TA'ALA Puchta Hain ,Mere Bande Ka Kya Kehna Tha ??
wah Kehte Hain : Usne Teri Tareef Ki Aur "INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAZIUUN PADHA"
ALLAH TA'ALA Kehta Hain :

MERE BANDE KE LIYA JANNAT MAI EK GHAR BANAO AUR USKA NAAM 'BAITUL HAMD ' RAKHUO

(JAAME TIRMIZI : 1021)
SUBHAN'ALLAH

Continue Reading...