MOBILE AUR NAMAZ
( PAARA 13 RUKU 17 TARJUMA AUR TAFSEER )
aye mahboob aap farmaiye mere un bando se wo jo imaan laaye. un imaan walo se farma dijiye wo namaz qayam rakhe
( PAARA 13 RUKU 17 TARJUMA AUR TAFSEER )
aye mahboob aap farmaiye mere un bando se wo jo imaan laaye. un imaan walo se farma dijiye wo namaz qayam rakhe
Quran e mazeed me Allah ta’ala ne apne mahboob ki Zubani kahelwaya .Ki Aye mahboob Aap momino se kahde ke wo namaz Qayam rakhe namaz ki pabandi kre.
Kis Qadar namaz ki ahmiyat hai to poore Quran paak me imaan ke bad sabse jyada namaz ka zikar kiya gaya .
Aur fir afsos ka makaam ye hai ke sabse jyada gaflat aaj kal namaz hi ke mamle me paayi jaati hai .
Awwal to hum namaz ke paband nahi jab mood hota hai jab waqt hota hai jab farig hote hai to namaz padh lete hai.Fazar kazaa Ho jaati hai .Kabhi masufiyat ki wajah se asar nikal jaati hai .Kabhi safar me hote hai to magrib ko hum chhod dete hai .Kabhi office se aa rahe hote hai to magrib nikal jaati hai .Kabhi thake huye hote hai to ishaa ko hum chhod dete hai.
Eik to namaz hum chhodte hai kazaa karte hai Dusri nahusat ye hai ki hum namaz padhte hai to namaz ko ahmiyat nahi dete hai.
Har cheez ko ahmiyat dene ki jarurat hai .To namaz ko hum ahmiyat nhi dete.Namaz ke liye hum saaf suthre kapde pahne.Achi tarah wudu kare .Aur bade ahtimaam ke sath tawajjoh ke sath itminaan se sukun se namaz adaa kare.Hamare jeb me mobile Hota hai to mobile ko band karna bhool jate hai fir bajna shuru hota hai hame bhi tang karta hai dusro ko bhi tang karta hai lekin Namaz padhne wala namazi sakhs kya mobile ke andar musical tons rakh sakta hai jab ki musical tons mobile me rakhna haraam hai.
Agar iske bad bhi ehsaas nahi to musical tuns moushiqui wali tiuns agar masjid ke bahar baje to bhi haraam hai.Masjid me baj rahi hai touba .Ab to naoozubillah kuchh logo ne musical tuns ki jagah ba’kayda gaane rakh diye hai .Aur kabhi kabhi itna afsos hota hai ki masjid me jab unka mobile bajta hai to filmi gaane bajne suru Ho Jate hai .
Filmi gaane se muraad jaise .Baaj nek logo ne apne mobile ke andar azaan fit ki hui hai to jab unki call aati hai to azaan ki awaaz aati hai naat ki awaaz aati hai .Quran ki tilawat ki awaaz aati hai To aise baaz naadaan bhi log hai to naoozubillah gaano ki awaaz aati hai .
Masjid me baj raha masjid Ho ya gairo masjid Ho musical tuns rakhna ya gaane rakhna ye haraam magar masjid me Eik Aur bhi bada gunah hai .
Lekin mai Eik Dusri bat karne laga Hu wo bat ye hai ki musical tune bhi agar koi na rakkhe wo gaane bhi na rakkhe Aur wo Eik saada Eik aisi ghanti rakkhe jo use bta sake ke phone aa rha hai aisi bell jiske andar music tuns na Ho to ye jayez to hai lekin namaz padhte waqt itna hosh bhi nhi hota ki use band kar Le .
Acha baaz log kya karte hai use band to karte hai mobile ko Vibration me rakh dete hai namaz ke dauraan ye bhi durust nahi hai balki poora off kare Allah ke darbar me khade hai ab jeb ke andar silent me Vibratoin par hai Aur wo mobile jhoom raha hota hai saari tawajjoh is par hoti hai na jaane kiska phone aa raha hoga na Jane kaun jaruri aadmi hoga Jaldi Jaldi namaz khatam karte hai Aur fir aksar aapne dekha hoga ki agar phone ataind karne ke liye Jaldi Jaldi namaz khatam kare to Salam ferte hi wo tune band Ho jaati hai .
Jis duniya ke liye namaz doori akhtiyar ki wo duniya hath me nahi aati to hum namaz padhne ke liye khade Ho mobile band kar De off kar De .bilkul duniya ke khyalaat se Aur karobaar se apni tawajjo hata De Aur kahe hum allah ke darbaar me hazir Ho raha Hu ..Namaz kayam rakkhe .
Namaz pabandi se bhi padhe Aur namaz ko aham samjhe uske liye waqt nikaale .Uske liye tawajjoh paida kare . Ye nahi ke Jaldi Jaldi namaz padhke hum samjhe Eik bojh hai Aur taal diye .
Are ye namaz to wo hai jiski barkat se duniya me bhi insha Allah kamyaabi milegi Aur aakhirat me bhi kamyaabi hogi
Allah Ta’ala hamen islami Masail ko sikhne aur samajhne Ki toufiq ataa farmaye *Aameen*
baraye karam se ais paigham ko dusro ko share kijiye
ALLAH APKO ISKA AJER-E-AZEEM ZARUR DEGA
AAMEEN
No comments:
Post a Comment